Naa le sako mera naam to chal jayega
Sirf aankhon se baat karogi to chal jayega
Khat main kuuchch na likho to chal jayega
Sirf kora kagaz bhej dogi to chal jayega
Main nahi kahata ki tuum aashaadh ki tarah baraso
Sirf saawan ki tarah barasogi to chal jayega
Main nahi kahata ki sirf meri banker raho
Apane dil main zarasi jagah dogi to chal jayega
Main nahi chaahata ki saari qayanat mere muuththi main ho
Sirf tuumhari duniya main thodi si jagah mile to chal jayega
Naa muuze khwayish hai saat janm tak saath nibhaneki
Sirf isi janm main saath nibhaogi to chal jayega.......
...................... aameen