Chalaa jaa raha tha main zindagi ka saath nibhata ki
Achaanak tuum agaye saamne; aur tumhe dekhate hi
Thamm gayaa, khadaa hee khadaa rah gaya main, aur samay
Tumhe dekhane ke baad; tuumse saamanaa hotey hee..
Apanaa naam to main kabhikaa bhool chuukaa thaa
Voh bhi yaad aagayaa jab tuumne muuskuuraa kar puukaaraa hame
Juulfon ke peechche chchipaa tuumhaara dekh chahera
Lage jaise chaand kaali ghataon se nikal baahar hai aayaa
Eesee tarah tuum bhee aaye aachaanak
Aa kar chchuupaliya apani ghataaon jaise zuulphon tale
Chchaa gaye mere astitva main
Aur kar ke baarish apane prem kee
Kar gaye mere tann-mann ko geela
Patthar samazaa jaataa tha main; hassy oodaate the meri
Parmaatmaa ban gayaa main tuumse meelane ke baad
Dekhkar tuumhaari chaahat mann meraa gaa oothaa
Khwaab ho tuum yaa koyee haqeeqat kaun ho
Yeh batalaao……
Der se eetani duur khadi ho tuum
Qareeb aajao................
.................aameen