Taraash ke kalpanaon ko maine ek muurat hai banaayi Mruudu samvedanaon ko bhar kar hai use sajaayi Hai voh amuurt par lagati har ghadi voh muurt Khidaki mann ki kholu to voh samane dikhati hai Sharm aur haya ke alankaar sajkar zuumati hui Samandar yeh sapano ka muze kabhi betaab lagata hai Aur chaah har ghadi ki maujo se khelane ki Mann ki savaari kalpanaon ke ashwa par hai Magar abhi pankh lagakar tum sang gagan main udana hai...... ...........................................aameen