Ek Khwahish muhabbat ki Ke tujhpe waari jaaoon Tere saare gam samet loon Tujhpe saari khushiyan lutaaoon Tere khayalon mein jeeta main Teri baahon mein zinda hoon Teri khuushbu rahati hai Hamesha meri saanson mein Tera tasavuur rahata hai Hamesha mere khayalon mein Itna na tadpaao hamain Ek choti si guzaarish hai Thoda kareeb aao mere Thoda kareeb aane do mujhe Tumhara hoon hamesha Tumhara saath chahta hoon Tumhari har khushi pe Nisaar hona chahta hoon Chhoti si jo yeh guzaarish hai Ek khwahish mohabbat ki Use poora kar dena humkadam Humara hayaat e safar abhi bahut hai baaki ...........................aameen